Khwaab ki ta'beer

· 16 Rajab 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Mein aksar khuwab mein dekhti hon ke hum apna naya ghar chor ke purane ghar shift horahe hain, mein rohne lag jati hon mjhe nai jana us ghar. Ya kabi aisa b hota hai k mein khush hoti hon purane ghar shift ho k. Barhaye Karam is khuwab ki tabeer bataye.

Answer

Hum jis haalat me bhi ho, hum ku chaahiye ke hum Allah Ta'ala ki taraf rujoo kare aur un ki farmaabardaari me rahe. Zindagi me khabi ache haalat pesh aayenge jis se hum khush ho jaayenge, aur khabi mushkil haalaat pesh aayenge jis se hum pareshaan aur ghamkeen ho jaayenge, leikin hum ko chaahiye ke kissie bhi waqt me hum Khuda Ta'ala se ghaafil ne ho jaaye aur un ki naa farmaani ne kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.