Khwaab ki ta'beer

· 29 Shawwal 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Ik larki hai jisay mein shadi karna chahta Tha or 2 months pehlay hamari larai hogai thi or taluqat kharab hogai thay. Aj mainay khuwab dekha k mein meray Abu or cousin us larki ky Ghar gai hai or waha bht log thay jaisy dawat wo. Waha humnay namaz bhi parhi Yani jamat karwai humnay. Phir us larki sy bhi mulaqat hui bht achay andaz sy jaisay pehlay taluqat thay or akhir mein Allah Hafiz bhi kaha usay. Iski tabeer bataday Jazak Allah

Answer

Guzishta haraam talluq se Allah Ta'ala se tawbah kare owr unse dua kare ke Wo aap ku neak owr munaasib rishta naseeb farmai. Kabhi puraane khiyaalaat ki wajah se is qisam ke khwaab dekhe jaate he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.