Quraan ke lughwi or istilaahi ma'na
Question
Quraan ke lughwi or istilaahi ma'na kiya he?
Answer
Qur'aan dar asal "قرأ يقرأ" se nikla he jiska lughawi ma`na "jama karna" he. Phir ye lafz "parhne" ke ma`na me istimaal hone laga. Aur lafz Qur'aan eik masdar he aur masdar kabhi isme maf`ool ke ma`na me istimaal hota he. Chunaanche kalaamullah ko Qur'aan isee ma`na me kaha jaata he, ya`ni "parhi huwi kitaab".
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.