Sunnat tareeqe se baal barhane se waalidain mana karte he
Question
Mujhe sunnat tareeqe me baal barhana pasand he lekin mere parents mana kar rahe he ke baal barhane se brain kaam nahi karega or dekhne me to bura dikhega bol rahe he lekin mujhe sunnat ke tareeqe se baal barhana shauq he to main kiya karu?
Answer
Jo umoor mustahab ke qabeel se ho usme waalidayn ki baate ko maan lena chaahiye. Behtar he ke aap makaan me taleem shuroo karo rozana, Fazaail ki kitaabo ki. Allah Ta`ala saheeh samajh ataa farmaaye.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.