Wig pehna

· 21 Jumada I 1441 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsMutafarriqaatBaalo ke ahkaam

Question

Mera question he ke mera sar ka baal bohot kam he yahn ka sir ki skin bhi nazar ati ha or hair ki length bhi bht kam ha yeh barhty bhi nhi han. Is waja sa rishta hona ma dikat ho rhi ha to kia ma hairs ma permanent artifical wig lagwa sakti hon kia yeh jaiz ha ka gunnah ha? Guzarish ha mera is masla ka quran or ahades ki roshni ma jawb dain taka ma sai faisla kar skon.

Answer

Wig ka pehna jaaiz he beshart ye ke wo insaan aur suwar ke baal se bane howe na ho. Lekin permanent baal lagwaana jaaiz nahi kyuke ghusal e janaabat me paani ko sar ke khaal tak phonchaana daroori he aur permanent wig jo nikaala nahi jaasakta paani ko sar ke khaal tak phonchne se rowk lega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.