Larka larki kisi ke saamne bol dete hai ke woh mian biwi hai
Question
Agar ek larki aur larka kisi ke saamne ek doosre ko mian biwi bol dete hain, halaan keh wo dono nikah mein nahi hain. Ek ya do logon ke saamne bolne se kiya wo mian biwi ho jate hain?
Ya phir agar larka gawaho ko court me paish kar ke larki se shadi hone ka case kar sakta hai?
Answer
Nahi honge. Lekin ye tareeqah nihaayat be-sharmi ka he. Is tarah mard aurat ke saath khalt malt karna aur is tarah be-hayaai ki baat karna ye bohot hee buri baat he sharam me doob marne ki baat he. Taubah karna laazim he.
Nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.