Galati se Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ki mubaarak shaan me gustaakhi karna

· 17 Jumada II 1442 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsAqeeda

Question

Agar weham ho ke hum nay kuch naoozbillah galat bol diya hai Rasulullah (sallallahu alaihi wasallam) ke bare mai to kiya kaffarah ho jata hai?

Answer

Agar sirf waham ho, to aap awhaam ki taraf tawajju na de. Leikin agar aap jaante ho ke aap ne kisi mawqe par Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ki mubaarak shaan me gustaakhi ki ho, to aap istighfaar kare aur aainda ihtiyaat kare. Issi tarah aap Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala aap ko Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ki sachi mahababt naseeb farmaai aur un ki tamaam sunnato par amal karne ki tawfeeq naseeb farmaai. Rozaana kuch waqt nikaalde durood shareef parhne ke liye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.