Miqaat ke andar ihraam baandna

· 21 Jumada II 1444 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsHajj owr UmrahIhraam

Question

Meri family Pakistan sy visit visa par jeddah ayi. Wahan 2 raat reh kar hum nai miqat se ihram banda aur umrah kia. Ab kuch log key rahy hain ke aap ke bhai par damm hogaya, aap ko damm dena parega. Rehnumayi farmaye.

Answer

Agar woh Pakistan se umrah ki niyyat se safar kiye, to unko chahiye tha ke woh miqaat par ihraam baandhe. Jab unho ne Jeddah me ihraam bandha, awr Jeddah Miqaat ke andar he, to un par damm waajib he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.