Shirkat me har shareek ka hissah ka muta`ayyan kar liya jaaye

· 10 Rajab 1445 AH2 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsTijaarat aur us ke mutalliq masaailShirkat

Question

Mera karobar gold ka hai aur mein haram halal ka bohot khayal rakh kar kam kar raha hun. 2 months pehle mere dost ne mujhe khuch raqam di ur mujh se gold mangwaya. Aur wo us ne mujhe dia k is se karobar karo lain dain karo aur jo munafa aye uska 50% mujhe de do. Meine us se gold lia aur karobar kiye beghair us ko andazan khuch munafa usko 1 bar bheja hai. Dusre month mujhe ehaas hua k kahin ye sood na ho. Mujh pr haram bilkul nae chalta Allhumdullilah. Dusre month usko meine kaha k meine karobar is month nae kiya is liye pese nae aye. Kyun k uski khuch raqam mujh se istaimal ho gyi thi. Ab aap mujhe ye batain k ye najaiz hai andazan karobar kiye bghair munafa dena ya is ka mein ab kya karun?

Answer

Shirkat ko shuroo karne se pehle ye muta`ayyan kar liya jaaye ke har shareek ka hissah kya hoga. Aur uske muwaafiq usko uska hissah diya jaaye. Aur agar shirkat kee lekin uska hissah ko muta`ayyan nahi kya to uske raqam ke ba qadar kuch diya jaayega, masalan usne 100 diya aur maal-e-shirkat me 1000 he to jo nafa aayega nafa ka daswa hissah usko milna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.