"Mera faisla ab Allah bhi nahi badal sakta" kufr he

· 5 Muharram 1446 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsAqeedaKufr

Question

Agar shohar kabhi bole ki Mera faisla ab Allah bhi nahi badal sakta... khaali apni fesle ki mazbooti ke iraade se... Kya yeh bolne se insaan kaafir hojata hai?

Answer

Yeh jumlah bohot khatarnaak he, aur is se aadmi kaafir bun sakta he. Allah Ta'ala Qaadir-e-Mutlaq he, aur koi cheez Allah Ta'ala ki qudrat se baahar nahi he. Lihaaza ye kehna ke "Mera faisla ab Allah bhi nahi badal sakta" kufr he. Us ko chaahiye ke tajdeed-e-imaan kare aur do baara kalimah parhe. Issi tarah agar wo shaadi shuda he, to wo apne nikaah ki tajdeed kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.