Shohar ke kehna "main tum pe haraam hu"

· 6 Safar 1447 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsTalaaq

Question

Mere husband ne mujhse kaha ki main tum pe haraam hu main tumpe haraam hu main tumpe haraam hu to kia ye talaaq consider hongi ya nahi?

Answer

Agar aap ke yaha urf ye he ke lafz haraam se log talaaq samajte he, to bila niyyat e zowj eik baain talaaq waaqi hogayee.

Aur agar aap ke yaha urf nahi he, to shohar ki niyyat par mowqoof he. Agar shohar ne talaaq ki niyyat se kaha, to tum par eik baain talaaq waaqi hogayee aur aap ka nikaah toot gaya. Ab agar tum dono dobaara milna chahte, to eik naya nikaah parhaana hoga naya mahr ke saat.

Aur agar shohar ne talaaq ki niyyat se nahi kaha, to koi talaaq waaqi nahi huwi aur nikaah ab tak baaqi he. Shohar se maloom kiya jaye, ke uski niyyat kya ti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

References (sources)

فتاوى محموديه 19/36

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.