Shia larki se shaadi karna

· 15 Rajab 1435 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsShaadi

Question

Ayk esi lerki jis ke bap dada sab katar shia hoon aur mehaz rishty kaliay aur society ma rehny kaliay unhon ny khud ko sunni zahir kia hua ho, nikah ke waqt bhi zahir na kia ho k hum shia maslak sy hein, tu kya us lerki ke saat nikah theek hy? Jab ke istakhray ma bhi preshan kun khawab aaty rhy hoon? Larki ke aqaed b pehly baap dada waly thay, ab confirm nai hy. Sab log gawah hein ke lerki aur us k gher waly sb majalis ma jaty aur apny gher ma majalis kerwaty hein. Lerki ke relatives bhi sahaba karam ko bura bhala kehty hein aur moharram ke dino ma chup k tmam majalis ma shirkat krty hein.

Answer

Shia log umooman Quraan Shareef ke andar tahreef karte he, aur ye imaan rakhte he ke Quraan Shareef jis tarah munazzal minas sama tha us tarah mahfooz nahi. Neez, Sahaabah-e-kiraam (radhiyallahu anhum) ki tanqeed aur takfeer karte he. Aur Quraan Shareef ke jo ek harf ko bhi ghalat kehta he uski kufr me koi qism ka shak nahi. Ayse lowgo se nikaah karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.