Khwaab ki ta'beer

· 15 Muharram 1436 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beer

Question

Main ne khawaab men dekha ke kuch seeriyan bani hui hain or main gaye ya shyd bail ki qurbani dekhny ke liye seriyon k ooper chrh gaya hoon, main ne dekha ke gaye ya shyd bail ki qurbani ki jarhi ha or kuch der baad main ne dekha ke wohi gaye ya bail 2 bra uth khara ha or us ki garden nahi kati main darr ke or seriyon ke ooper charh gaya hu. Jab dekha ke neechy koi nahi ha phir neechy utar aya. Brah-e-karam mujy khawab ki tabeer bata den.

Answer

Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parhliya kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.