Khwaab ki ta'beer
Question
Meri Choti Bahen ne ek khawab dekha hai ki woh Meri Maan ke saath kahi ja rahi hai wahan bahot se log or hain. Usne dekha hai ki achanak poora aasmaan kale baadalon se ghir gaya hai aur har taraf andhera ho gaya hai, aur achanak se hi badal fat gaye aur woh badal wahan maujood logon par girne lage hain. Janab meri bahen ki shadi ki baat chal rahi hai kahin yeh koi ishaara to nahin?
Answer
Us ki shaadi ki taraf ishaarah nahi he. Ye musibato owr fitno ki taraf ishaarah he jo lowgo par aane wale he un ke gunaaho owr bure a'maal ki wajah se. Mu'min ku har waqt apne Imaan owr deen ki hifaazat karne ki fikar hona chahia.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.