Qurbaani kis ke upar waajib he
Question
Ma aik company me accounts ki job karta hun. Wahan meri salary 36000/- hay. Kia mujh pe qurbani wajib hay ya nahin agar chandi kay hisaab se lagate hen?
Answer
Qurbaani ke dino me agar kisi baaligh musalmaan mard ya awrat (jo musaafir nahi he) apne duyoon owr qardhe nikaalne ke ba'd agar is qadar maal ka maalik he jo zakaat ke nisaab ke baraabar ho ya us se ziyada, to qurbaani us ke upar waajib hogi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
- Checked & approved by
- Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.