Khwaab ki ta'beer

· 1 Jumada I 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Aaj morning maine ek khwaab dekha. Us me maine ghar ki terrece gir gayi aur usme meri ammi aur meri beti daba gayi phir maine unko nikala Ek aur baat share karni hai aap se main kaafi dino se jismani bimari ke baare me socha karta hu matlab kuch na kuch zahen me chalta rehta hai matlab ke mujhe aisa lagta hai ke mujhe koi bimari toh nahi hai aur yehi dimag me chalta hai sab report Nikali sab normal hai koi tarika bataye ke is soch se me bahar niklu aur main aap se ek baat puchna chahta hu Allah ke taraf se koi ishara hai joh main samaj nahi pa raha hu kyun ke iske pehle bhi maine aap se ek khavab ki tabir puchiti.

Answer

Sab ke saat achcha sulook owr bartaaw kare owr sab ke huqooq poora kare. Har waqt dowsro ke aaraam owr balaai ki fikar kare. Sab ki khidmat karne se Allah Ta'ala aap ki pareshaaniyo ku door karenge owr aap se khush honge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.