Khwaab ki ta'beer

· 10 Shaʻban 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Idhar maine teen khawab milte julte dekhe ek baar dekha ki mere ghar k ek hisse me mujhe ajeeb sa dar lg raha hai...phir ek baar dekha ki mai kitchen se khana pka k nikli phir mujhe Chulha khulne ki awaz ayi phir maine jake dekha to Chulha Sach me jal raha tha jbki maine band kr diya tha aur phir mujhe aisa lga ki mujhe jaise koi uper khich raha hai aur mai hava me khadi hon kitchen me matlab mere pair zameen se thode uper hain bauhat khichav hai.. Phir ek din maine khawab me dekha ki mere ghar me cheeze apne aap Idhar se udhar ho rahi koi cheez hvaa me latki hai..

Answer

Namaazo ko waqt par parhe aur hamesha nek suhbat me rahe. Aisi cheezo se parhez kare jo aap ko gunaaho ki taraf le jaae, jese cell-phone, internet, TV, buri suhbat, na-munaasib akhbaar. Rozana ghar me thori der ke liye Fazaail-e-Aamaal aur Fazaail-e-Sadaqaat ki ta'leem kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.