Khwaab ki ta'beer

· 18 Shawwal 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Muje buht ajeeb se khuwab atay hain jis se main buht preshan hb kabhi tofani badal nzr atay hain jin se bijli karkti hui zameen tak ati hai kabhi buht bhadhki hui agg nzr ati hai jis k buht buland sholay hotay hain or ak bar maine dekha k main insani gosht kha rahi hn or zehn main hota hai k ye mare bhai or abu g ka hai or asmani tofan nzr atay hain jesay asman se agg k golay or grm pani zameen or gir raha ho or har trf shor hota hai k qyamat agai hai or ak bar delha k ak bus mujhe marne ki koshish kr rahi hai . plz mujhe isk bare main btaiay k ye kia hai or mujhe kia krna chahiay.

Answer

Ye zamaane ke fithno ki taraf ishaarah he. Fithna ke waqt aadmi ku chahia ke Allah Ta'ala ki taraf ruju kare owr apne aap ku gunaaho se bachaane ki kowshish kare.

Gowsht khaane se muraad gheebat karna. Gheebat se bachche owr aysi suhbat se ijtinaab kare jis me kisi insaan ki gheebat horahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.