Khwaab

· 2 Dhuʻl-Hijjah 1438 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Marey father ki death ko no saal ho gaye hn ma aik lrky ko pasand krti hun saat saalon se. Kuch saal phly marey papa mary khawab ma aye or apni khushi se mera hath us lrky k hath ma dy dia..jab k meri ami is rishty se razi nai thin khawab ma or ab takribn hafta phly mana khawab dekha k mera bhai mjhy batata hy k ami ne is rishty se inkaar kr dia hy. To please mujhy in dono khawbaon ki taber bata den. Me bht preshan hun. Us k sath marey rishty ke liye ami nai maan rahin. Please help me.

Answer

Aap fikr ne kare. Aap Allah Ta'ala se duaa kare ke jaha bhi aap ka nikah muqaddar he, Allah Ta'ala us me khair daalde aur aap ku neik aur munaasib rishta naseeb farmaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.