Jaghra ke ba'd Quraan Shareef le kar maafi maangna

· 23 Jumada II 1440 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsMutafarriqaat

Question

Baz dafa yu hota he ke log pehle to jaghra kar lete he phir bad me mafi maangne aate he aur Quraan Paak ko dhaal bana kar aate he ke Quraan Paak le aaya hu ab galatiya maaf kardo.

Kiya Islam me is cheez ki ijaazat he ke aap pehle galati kare phir Quraan Paak ko hamrah le ja kar galati maaf karwa de?

Answer

Quraan Shareef hamrah lene ki koi zaroorat nahi. Asal dil ki nadaamat he aur ahd Khuda Ta`ala ke saath karni he ke aaindah aysi harkat kabhi nahi karega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.