Masjid me namaaz fout hojaye to ghar ma namaaz parhna ya masjid me akele?

· 12 Rabiʻ I 1444 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsNamaazJamaat Namaaz aur ImaamatJamaat ki Ahammiyyat

Question

Agar aap jamaat ky sath namaaz na parh paye to aapko ghar mai namaaz parhni chahye ya masjid mai namaaz parhni chahye kyu ky aapki jamaat to ab miss hogye hai aur suna hai ky aapki jamaat jab miss hojae to aapko masjid mai ni parhni chahye aur kisi ko gawah ni banana chahye ky aapnai jamaat ky sath namaaz ni parhi ismai ghar parhni chahye ya masjid mai akele parh lain ya kisi dost ky sath hain to akhty jamaat karwa lain?

Answer

Agar aap Masjid ko us waqt pohonche jab Masjid ki jamaat puri ho gayi, to aap kisi ke saath masjid se bahar (sehn me) jamaat kare ya masjid me akela namaaz parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.