Aurat ki haidh ke bad humbastari kare phir dobarah haidh ajaye to kiya hukm he?

· 20 Shawwal 1444 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhawateen ke MasaailHaiz, Istihaazah owr Nifaas

Question

سوال یہ ہے کہ اگر بیوی ماھواری کے بعد غسل کر لے اور شوہر ہمبستری کرلیں اور ہمبستری کے بعد دوبارہ خون آجائے تو کیا حکم ہے

Answer

Fuqaha ne likha ke agar aurat ke haidh ke khoon aadat ke ayaam se pehle band hojaaye, aur aurat ghusal kare, to miya biwi ke liye humbistari karna jaaiz nahi he agarche khoon band howa, kyoonke ihtimaal he ke khoon dobaara shuroo hoga. Agar miya biwi humbistari kare, to dono ghunegaar honge.

Leikin agar haidh ke khoon aadat ke muwaafiq band huwa aur biwi ghusal karle, to us ke bad miya biwi ke liye humbistari karna jaaiz he. Agar khoon us ke bad do baara jaari hojaaye, to phir miya biwi humbistari se baaz aajaaye. Leikin jo humbistari huwi, wo us se ghunegaar nahi honge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Checked & approved by
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.