Khwaab ki ta'beer

· 24 Dhuʻl-Qiʻdah 1437 AH1 min readRoman Urdu
Urdu QuestionsKhwaabo ki Ta'beerurdudream

Question

Mere khwaab mein meine dekha ke ayk bohot bada dining table hai us pe kayi tarah ke ek se ek dishes hai jaise namak pare 2 ya 3 type ke,kayi tarah ke khane hai aur mithe hai, mein namak para chakti hun phir jelabi khati hun itna tasty itna yummy reheta hai, dining table har tarah ke pakwan se bhara huva hai aur bohot khubsurat hai. Bohot hi lamba jaise palace mein hota hai. Mufti saab meherbani karke ap is khab ki tabeer batadiyea. Meri shaadi ho ke tut gayi mere leyea rishte dekhre mein bohot pareshan reheti hun. Yea khwab mujhe subha ke waqt aya hai.

Answer

Allah Ta'ala aap ki pareshaaniyo ku door farmaaye aur aap ke mustaqbil ku roshan farmaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by
Mufti Zakaria Makada
Ask Mufti Online

Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.