Khwaab ki ta'beer
Question
Kal rat mainy ek khuwab mai mery marhoom chacha ko dekha. ham unse bht achi tarah mil rahy the. khuwab k beach ka hissa ziada yaad nahi lekin akhir mai meny dekha k unka janaza hai jo ek sehan main hai, ba'zahir na to khana kaba nazar a rha hai na hi kuch or lekin yeh ehsaas hai k us waqt ham makka main hain or khana kaba ke ksi pichly hissy main hain jahan se kaba shareef nazar nahi a rha. mai iski tabeer janna chah rha hun
Answer
Ye achcha khwaab he. Allah Ta'ala marhoom ki maghfirat farmai owr un ku a'la se a'la maqaam naseeb farmai Jannat me. Qur'an Shareef ka kuch hissa parh kar, ya kuch sadaqah dede owr us ka sawaab un ke lia bhejde.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
- Answered by
- Mufti Zakaria Makada
Fatawa SA is an independent, read-only index of fatawa already published by Mufti Online — Madrasah Ta'leemuddeen. It is not a fatwa service. For your own situation, ask the issuing Darul Ifta directly.